Type Here to Get Search Results !

Mere Samne Wali Khidki Mein / मेरे सामने वाली खिडकी में, एक चांद सा मुखडा रहता है / Padosan (1968)

Mere Samne Wali Khidki Mein


मेरे सामने वाली खिड़की में
एक चांद का टुकड़ा रहता है
अफ़सोस ये है के वो हमसे
कुछ उखड़ा उखड़ा रहता है
जिस रोज़ से देखा है उसको
हम शमा जलाना भूल गए
दिल थाम के ऐसे बैठे हैं
कहीं आना जाना भूल गए
अब आठ पहर इन आँखों में
वो चंचल मुखड़ा रहता है
बरसात भी आकर चली गई
बादल भी गरज कर बरस गए
पर उसकी एक झलक को हम
ऐ हुस्न के मालिक तरस गए
कब प्यास बुझेगी आँखों की
दिन रात ये दुखड़ा रहता है

  • चित्रपट : पडोसन (१९६८) /
  • अभिनेता : किशोर कुमार,  महमूद, सुनील दत्त, सायरा बानो,  
  • गायक : किशोर कुमार,  
  • गीतकार : राजेन्द्र कृष्ण, 
  • संगीतकार : राहुल देव बर्मन, -
Mere-Samne-Wali-Khidki-Mein


मेरे सामने वाली खिडकी में, एक चांद सा मुखडा रहता है


Re Hai..
La La La La La La La La La La La La La Lah..

Hmmm He Hee
(Mere Saamne Waali Khidki Mein
Ek Chaand Ka Tukda Rehta Hai) -2
Afsos Ye Hai Ke Vo Hamse
Kuchh Ukhda Ukhda Rehta Hai
Mere Saamne Waali Khidki Mein
Ek Chaand Ka Tukda Rehta Hai

Jis Roz Se Dekha Hai Usko
Ham Shamaa Jalaana Bhool Gaye
Dil Thaam Ke Aise Baithe Hain
Kahin Aana Jaana Bhool Gaye
Ab Aath Pahar In Aankhon Mein
Vo Chanchal Mukhda Rehta Hai
Mere Saamne Waali Khidki Mein
Ek Chaand Ka Tukda Rehta Hai

(Barsaat Bhi Aakar Chali Gayi
Baadal Bhi Garaj Kar Baras Gaye) -2
Par Uski Ek Jhalak Ko Ham
Ai Husn Ke Maalik Taras Gaye
Kab Pyaas Bujhegi Aankhon Ki
Din Raat Ye Dukhda Rehta Hai
Mere Saamne Waali Khidki Mein
Ek Chaand Ka Tukda Rehta Hai
Afsos Ye Hai Ke Vo Hamse
Kuchh Ukhda Ukhda Rehta Hai
Mere Saamne Waali Khidki Mein
Ek Chaand Ka Tukda Rehta Hai 

  • Movie : Padosan (1968)
  • Singer : Kishore Kumar, Manna Dey
  • Actor :  Kishor kumar, Sunil Datt, Saira Banu, Mehmood. 
  • Lyricist : Rajendra Krishna, 
  • Music Director : Rahul Dev Burman, 

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.

Top Post Ad

Below Post Ad